imtihan humne diye is dar-e-fani mein bahut
imtihāñ ham ne diye is dār-e-fānī meñ bahut
rañj khīñche ham ne apnī lā-makānī meñ bahut
vo nahīñ us sā to hai ḳhvāb-e-bahār-e-jāvedāñ
asl kī ḳhushbū uḌī hai us ke saanī meñ bahut
raat din ke aane jaane meñ ye sonā jāgnā
fikr vāloñ ko pate haiñ is nishānī meñ bahut
koyaleñ kūkīñ bahut dīvār-e-gulshan kī taraf
chāñd damkā hauz ke shaffāf paanī meñ bahut
us ko kyā yādeñ thiiñ kyā aur kis jagah par rah ga.iiñ
tez hai dariyā-e-dil apnī ravānī meñ bahut
aaj us mahfil meñ tujh ko bolte dekhā 'munīr'
to ki jo mash.hūr thā yuuñ be-zabānī meñ bahut
imtihan hum ne diye is dar-e-fani mein bahut
ranj khinche hum ne apni la-makani mein bahut
wo nahin us sa to hai KHwab-e-bahaar-e-jawedan
asl ki KHushbu uDi hai us ke sani mein bahut
raat din ke aane jaane mein ye sona jagna
fikr walon ko pate hain is nishani mein bahut
koyalen kukin bahut diwar-e-gulshan ki taraf
chand damka hauz ke shaffaf pani mein bahut
us ko kya yaaden thin kya aur kis jagah par rah gain
tez hai dariya-e-dil apni rawani mein bahut
aaj us mahfil mein tujh ko bolte dekha 'munir'
to ki jo mashhur tha yun be-zabani mein bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.