imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein
imtihān-o-sabr kī had kyoñ paḌe tāḳhīr meñ
jo na likhvā.e koī likh de mirī taqdīr meñ
ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale the kaise bad-nasīb
ḳhvāb kā aalam bhī guzrā dahshat-e-ta.abīr meñ
hashr meñ halchal huī qātil ko ġhash aane lage
aa.e vo kuchh be-gunah jakḌe hue zanjīr meñ
in nasīboñ par thī qudrat se ulajhne kī umang
umr bhar choTeñ chalīñ tadbīr aur taqdīr meñ
aur hī aalam hai kuchh duniyā-e-husn-o-ishq kā
hai yahāñ jo shai bhī hai Duubī huī tāsīr meñ
naaz sajde meñ adā hairat meñ jalve vajd meñ
dil ne ye dekhā harīm-e-dost kī tasvīr meñ
zarre zarre se sadā-e-bāzgasht aane lagī
aur kyā hotā asar zālim tirī taqrīr meñ
dil ko paidā karke fitrat ḳhud ġhazab meñ paḌ ga.ī
mahv hai iḳhfā-e-rāz-e-dahr kī tadbīr meñ
jis meñ thiiñ saarī ḳhayāl-e-yār kī āzādiyāñ
vo dil-e-ram-āfrīñ jakḌā rahā zanjīr meñ
kyoñ kisī ne naqsh-e-āshob-e-tamanna khīñch kar
bhar diyā majbūriyoñ kā rang har tasvīr meñ
allah allah ek zarre kī bhī had miltī nahīñ
rang ho naqqāsh kā itnā to har tasvīr meñ
pā-e-‘beḳhud’ meñ kuchh aisī beḌiyāñ Daalī ga.iiñ
jin se ba.ad-e-hashr bhī chhuTnā na thā taqdīr meñ
imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein
jo na likhwae koi likh de meri taqdir mein
KHwab-e-hasti dekhne wale the kaise bad-nasib
KHwab ka aalam bhi guzra dahshat-e-tabir mein
hashr mein halchal hui qatil ko ghash aane lage
aae wo kuchh be-gunah jakDe hue zanjir mein
in nasibon par thi qudrat se ulajhne ki umang
umr bhar choTen chalin tadbir aur taqdir mein
aur hi aalam hai kuchh duniya-e-husn-o-ishq ka
hai yahan jo shai bhi hai Dubi hui tasir mein
naz sajde mein ada hairat mein jalwe wajd mein
dil ne ye dekha harim-e-dost ki taswir mein
zarre zarre se sada-e-bazgasht aane lagi
aur kya hota asar zalim teri taqrir mein
dil ko paida karke fitrat KHud ghazab mein paD gai
mahw hai iKHfa-e-raaz-e-dahr ki tadbir mein
jis mein thin sari KHayal-e-yar ki aazadiyan
wo dil-e-ram-afrin jakDa raha zanjir mein
kyon kisi ne naqsh-e-ashob-e-tamanna khinch kar
bhar diya majburiyon ka rang har taswir mein
allah allah ek zarre ki bhi had milti nahin
rang ho naqqash ka itna to har taswir mein
pa-e-‘beKHud’ mein kuchh aisi beDiyan Dali gain
jin se baad-e-hashr bhi chhuTna na tha taqdir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.