in aankhon se yun rah-e-suKHan wa nahin karte
in āñkhoñ se yuuñ rāh-e-suḳhan vā nahīñ karte
ḳhāmosh rahā karte haiñ bolā nahīñ karte
andesha-e-tūfān-e-balā-ḳhez bahut hai
is vāste ham qatre ko dariyā nahīñ karte
parvā nahīñ kuchh un ko hamārī to hameñ kyā
ruḳh un kī taraf ham bhī ziyāda nahīñ karte
ġharqābī kā itnā hī agar Dar hai to ye log
kyoñ sāhil-e-dariyā se kināra nahīñ karte
bas qatra-e-ḳhūñ se ubhar aate haiñ ka.ī rang
ham siine pe ḳhud baaġh lagāyā nahīñ karte
in aankhon se yun rah-e-suKHan wa nahin karte
KHamosh raha karte hain bola nahin karte
andesha-e-tufan-e-bala-KHez bahut hai
is waste hum qatre ko dariya nahin karte
parwa nahin kuchh un ko hamari to hamein kya
ruKH un ki taraf hum bhi ziyaada nahin karte
gharqabi ka itna hi agar Dar hai to ye log
kyon sahil-e-dariya se kinara nahin karte
bas qatra-e-KHun se ubhar aate hain kai rang
hum sine pe KHud bagh lagaya nahin karte
- Book : غبار حیرانی (Pg. 146)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.