in bahanon ki koi zarurat nahin
in bahānoñ kī koī zarūrat nahīñ
saaf kah de ki mujh se mohabbat nahīñ
bevafā bevafā.ī mubārak tujhe
jā mujhe bhī tirī ab zarūrat nahīñ
kaun jalvoñ se tere hai nā-āshnā
tū ne kis dil pe Dhaa.ī qayāmat nahīñ
dil dhaḌaktā hai tere liye aaj bhī
kaise kah duuñ mujhe terī chāhat nahīñ
merī qismat meñ thā hī nahīñ vo 'jamāl'
is liye us se koī shikāyat nahīñ
in bahanon ki koi zarurat nahin
saf kah de ki mujh se mohabbat nahin
bewafa bewafai mubarak tujhe
ja mujhe bhi teri ab zarurat nahin
kaun jalwon se tere hai na-ashna
tu ne kis dil pe Dhai qayamat nahin
dil dhaDakta hai tere liye aaj bhi
kaise kah dun mujhe teri chahat nahin
meri qismat mein tha hi nahin wo 'jamal'
is liye us se koi shikayat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.