in bayabanon mein basta tha nagar pahle kabhi
in bayābānoñ meñ bastā thā nagar pahle kabhī
be-gharoñ kā bhī huā kartā thā ghar pahle kabhī
ḳhuub se bhī ḳhūbsūrat phuul is gulshan meñ haiñ
aap sā dekhā nahīñ ham ne magar pahle kabhī
us kī godī meñ kisī bachche sā sar ko rakh diyā
vaise to jhuktā nahīñ thā apnā sar pahle kabhī
us ke pairāhan yaqīnan khūñTiyoñ par haiñ Tañge
yuuñ kahāñ raushan huā thā bām-o-dar pahle kabhī
ham ko bhī chaskā lagā thā ik parī ke pyaar kā
ham ne bhī ġhazleñ kahī thiiñ husn par pahle kabhī
in bayabanon mein basta tha nagar pahle kabhi
be-gharon ka bhi hua karta tha ghar pahle kabhi
KHub se bhi KHubsurat phul is gulshan mein hain
aap sa dekha nahin hum ne magar pahle kabhi
us ki godi mein kisi bachche sa sar ko rakh diya
waise to jhukta nahin tha apna sar pahle kabhi
us ke pairahan yaqinan khunTiyon par hain Tange
yun kahan raushan hua tha baam-o-dar pahle kabhi
hum ko bhi chaska laga tha ek pari ke pyar ka
hum ne bhi ghazlen kahi thin husn par pahle kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.