in dar-o-diwar ki aankhon se paTTi khol kar
in dar-o-dīvār kī āñkhoñ se paTTī khol kar
Dūbte sūraj kā manzar dekh khiḌkī khol kar
ashk āñkhoñ meñ agar kuchh haiñ to kar shab kā safar
rāste meñ āsmāñ baiThā hai jholī khol kar
aur kuchh taaza lakīreñ shakl ke ḳhāke pe haiñ
dekh apne haath kā ā.īna muTThī khol kar
paikar-e-mafhūm ban kar bhī kabhī pahlū meñ aa
lafz dete haiñ sadā bāb-e-ma.ānī khol kar
sat.h-e-dariyā par bhaḌak uThī hai phir maujoñ kī aag
kaun is tūfān meñ utregā kashtī khol kar
le uḌe taa.ir qafas kī tīliyāñ parvāz meñ
ab gale meñ Daal de pairoñ se rassī khol kar
baḌh ga.ī kuchh aur pyāsī ketiyoñ kī tishnagī
abr chhāyā thā magar barsā nahīñ jī khol kar
ho ga.e ābād mere jism ke dīvār-o-dar
kaun ghar meñ aa gayā darvāza ḳhud hī khol kar
dhuup meñ sūkhe hue patte havā dene lage
band lab goyā hue qufl-e-ḳhamoshī khol kar
kyā ajab 'shāhid' ki merī dāstāñ is meñ bhī ho
jo kitāb ik baar bhī maiñ ne na dekhī khol kar
in dar-o-diwar ki aankhon se paTTi khol kar
Dubte suraj ka manzar dekh khiDki khol kar
ashk aankhon mein agar kuchh hain to kar shab ka safar
raste mein aasman baiTha hai jholi khol kar
aur kuchh taza lakiren shakl ke KHake pe hain
dekh apne hath ka aaina muTThi khol kar
paikar-e-mafhum ban kar bhi kabhi pahlu mein aa
lafz dete hain sada bab-e-maani khol kar
sath-e-dariya par bhaDak uThi hai phir maujon ki aag
kaun is tufan mein utrega kashti khol kar
le uDe tair qafas ki tiliyan parwaz mein
ab gale mein Dal de pairon se rassi khol kar
baDh gai kuchh aur pyasi ketiyon ki tishnagi
abr chhaya tha magar barsa nahin ji khol kar
ho gae aabaad mere jism ke diwar-o-dar
kaun ghar mein aa gaya darwaza KHud hi khol kar
dhup mein sukhe hue patte hawa dene lage
band lab goya hue qufl-e-KHamoshi khol kar
kya ajab 'shahid' ki meri dastan is mein bhi ho
jo kitab ek bar bhi main ne na dekhi khol kar
- Book : Subh-e-safar (Pg. 18)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.