in dinon sham aise aati hai
in dinoñ shaam aise aatī hai
mauj-e-ḳhūñ meñ nahā ke jaatī hai
ek sahrā mujhe bulātā hai
ek vahshat gale lagātī hai
pahle ham dhuup meñ jhulaste the
ab to ye chhāñv bhī jalātī hai
kitnī ma.asūm hai vafā apnī
bevafā.ī hañsī uḌātī hai
ġhair kī baat us se kyoñ pūchhī
us kī sachchā.ī ab rulātī hai
kitne ishve haiñ ik mohabbat ke
kitne pahlū se āzmātī hai
ek din e'tibār TuuTā thā
ab to har chiiz TuuT jaatī hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ jab bhī aatā hai
ek ta.abīr muñh chiḌātī hai
tiir kaisā thā jaane ai 'ḳhālid'
ruuh zaḳhmoñ se chhaTpaTātī hai
in dinon sham aise aati hai
mauj-e-KHun mein naha ke jati hai
ek sahra mujhe bulata hai
ek wahshat gale lagati hai
pahle hum dhup mein jhulaste the
ab to ye chhanw bhi jalati hai
kitni masum hai wafa apni
bewafai hansi uDati hai
ghair ki baat us se kyon puchhi
us ki sachchai ab rulati hai
kitne ishwe hain ek mohabbat ke
kitne pahlu se aazmati hai
ek din e'tibar TuTa tha
ab to har chiz TuT jati hai
KHwab aankhon mein jab bhi aata hai
ek tabir munh chiDati hai
tir kaisa tha jaane ai 'KHalid'
ruh zaKHmon se chhaTpaTati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.