in hawaon ki na lag jae nazar
in havāoñ kī na lag jaa.e nazar
koñpleñ niklī haiñ dil kī shāḳh par
ab ke fasl-e-ġham nahīñ laanā idhar
aane vaale mausamoñ se baat kar
merī ik ik saañs girvī hai tirī
ab tujhe maiñ kyā kahūñ ai be-ḳhabar
kaañp uThtā hai ye piñjra soch kar
jab nikal ā.eñge mere bāl-o-par
chhoḌ detā vo adhūrā hī safar
dekh letā jo mujhe bas ik nazar
in hawaon ki na lag jae nazar
konplen nikli hain dil ki shaKH par
ab ke fasl-e-gham nahin lana idhar
aane wale mausamon se baat kar
meri ek ek sans girwi hai teri
ab tujhe main kya kahun ai be-KHabar
kanp uThta hai ye pinjra soch kar
jab nikal aaenge mere baal-o-par
chhoD deta wo adhura hi safar
dekh leta jo mujhe bas ek nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.