in honTon ne puchha us peshani se
in hoñToñ ne pūchhā us peshānī se
tum to ham ko bhuul ga.e āsānī se
barf kā TukḌā dhuup meñ rakh kar soch rahe
ya.anī paanī niklegā ab paanī se
yaar añdherā kar pahle is kamre meñ
chaḌh jaatā huuñ varna maiñ uryānī se
lījiye ik misre meñ saarā afsāna
ik taare ko hijr milā tābānī se
aaj kā majnūñ kyā kartā hai dekhoge
mujh ko bāhar aane do vīrānī se
is laḌke ne kis se ishq kiyā hogā
logoñ ne dekhā ham ko hairānī se
in honTon ne puchha us peshani se
tum to hum ko bhul gae aasani se
barf ka TukDa dhup mein rakh kar soch rahe
yani pani niklega ab pani se
yar andhera kar pahle is kamre mein
chaDh jata hun warna main uryani se
lijiye ek misre mein sara afsana
ek tare ko hijr mila tabani se
aaj ka majnun kya karta hai dekhoge
mujh ko bahar aane do virani se
is laDke ne kis se ishq kiya hoga
logon ne dekha hum ko hairani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.