in ke aariz pe ashkon ke dhaare
in ke aariz pe ashkoñ ke dhāre
jaise phūloñ ko shabnam sañvāre
ġham na kar is jahān-e-talab meñ
TuuT jaate haiñ aksar sahāre
tum ne mantiq se ulfat ko samjhā
tum hī jiite chalo ham hī haare
ġham kī zahmat meñ kyā kuchh na biitī
raat kaaTī hai gin gin ke taare
chhoḌ kar mujh ko bahr-e-alam meñ
terī kashtī ga.ī hai kināre
is ko faḳhr-e-mohabbat na kyoñ ho
'daur' dil meñ rahā hai tumhāre
in ke aariz pe ashkon ke dhaare
jaise phulon ko shabnam sanware
gham na kar is jahan-e-talab mein
TuT jate hain aksar sahaare
tum ne mantiq se ulfat ko samjha
tum hi jite chalo hum hi haare
gham ki zahmat mein kya kuchh na biti
raat kaTi hai gin gin ke tare
chhoD kar mujh ko bahr-e-alam mein
teri kashti gai hai kinare
is ko faKHr-e-mohabbat na kyon ho
'daur' dil mein raha hai tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.