inki Thokar mein shararat hogi
in kī Thokar meñ sharārat hogī
fitne uTTheñge qayāmat hogī
kaj-adā.ī kī talāfī kyuuñ ho
mehrbānī to musībat hogī
merī fursat kā Thikānā kyā hai
aap ko bhī kabhī fursat hogī
vo na hoñge to na hogā kuchh bhī
dekhne ke liye jannat hogī
kyā ḳhabar thī dam-e-ruḳhsat ye 'azīz'
shukr ke badle shikāyat hogī
in ki Thokar mein shararat hogi
fitne uTThenge qayamat hogi
kaj-adai ki talafi kyun ho
mehrbani to musibat hogi
meri fursat ka Thikana kya hai
aap ko bhi kabhi fursat hogi
wo na honge to na hoga kuchh bhi
dekhne ke liye jannat hogi
kya KHabar thi dam-e-ruKHsat ye 'aziz'
shukr ke badle shikayat hogi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 266)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.