inko dukh ki humse wo kahte ye kaise hum ghalat the
in ko dukh ki ham se vo kahte ye kaise ham ġhalat the
is liye pahle hī ham ne kah diyā ki ham ġhalat the
vo ḳhafā haiñ jaane kab se kyā pata kis baat pe hoñ
farz bantā hai hamārā kah deñ un se ham ġhalat the
tum ishāra kar to dete ki nahīñ jaanā hai tum ko
rok lete ham tumheñ kah dete sab se ham ġhalat the
ham kisī bhī taur us ko saath rakhnā chāhte the
ham ne muāfī maañg lī aise ki jaise ham ġhalat the
ham laḌeñge ḳhuub donoñ pahle to ik duuje se phir
rote rote ye kaheñge ham ġhalat the ham ġhalat the
in ko dukh ki hum se wo kahte ye kaise hum ghalat the
is liye pahle hi hum ne kah diya ki hum ghalat the
wo KHafa hain jaane kab se kya pata kis baat pe hon
farz banta hai hamara kah den un se hum ghalat the
tum ishaara kar to dete ki nahin jaana hai tum ko
rok lete hum tumhein kah dete sab se hum ghalat the
hum kisi bhi taur us ko sath rakhna chahte the
hum ne muafi mang li aise ki jaise hum ghalat the
hum laDenge KHub donon pahle to ek duje se phir
rote rote ye kahenge hum ghalat the hum ghalat the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.