in makanon se bahut dur bahut dur kahin
in makānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
chal zamānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
ḳhvāb sā ek jahāñ hai ki jahāñ sab kuchh hai
in jahānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
mere imkān ne dekhī hai kināre kī jhalak
bādbānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
qissa-go apne taḳhayyul meñ nikal jaatā hai
dāstānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
aao jiine kī koī raah nikāleñ 'imrran'
kār-ḳhānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
ek ghar mujh ko bulātā hai mere paas aao
in makānoñ se bahut duur bahut duur kahīñ
in makanon se bahut dur bahut dur kahin
chal zamanon se bahut dur bahut dur kahin
KHwab sa ek jahan hai ki jahan sab kuchh hai
in jahanon se bahut dur bahut dur kahin
mere imkan ne dekhi hai kinare ki jhalak
baadbanon se bahut dur bahut dur kahin
qissa-go apne taKHayyul mein nikal jata hai
dastanon se bahut dur bahut dur kahin
aao jine ki koi rah nikalen 'imrran'
kar-KHanon se bahut dur bahut dur kahin
ek ghar mujh ko bulata hai mere pas aao
in makanon se bahut dur bahut dur kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.