in pari-zad jawanon ne kiya pir mujhe
in parī-zād javānoñ ne kiyā piir mujhe
kar diyā zo.af se juuñ saaya zamīñ-gīr mujhe
terī tadbīr se maiñ kyūñki marūñgā ai marg
kī na ho hijr ke jab zahr ne tāsīr mujhe
jis ko manzūr hai marnā use jiinā hai vabāl
hai dam-e-pāk-e-masīhā dam-e-shamshīr mujhe
mujh ko piirī meñ kiyā taaza javānoñ kā murīd
ḳhvār kartā hai ye nazzāra-e-be-pīr mujhe
kam nahīñ jauhar-e-faulād javāhir se 'yaqīñ'
hai ba-az-silk-e-gauhar ishq meñ zanjīr mujhe
in pari-zad jawanon ne kiya pir mujhe
kar diya zoaf se jun saya zamin-gir mujhe
teri tadbir se main kyunki marunga ai marg
ki na ho hijr ke jab zahr ne tasir mujhe
jis ko manzur hai marna use jina hai wabaal
hai dam-e-pak-e-masiha dam-e-shamshir mujhe
mujh ko piri mein kiya taza jawanon ka murid
KHwar karta hai ye nazzara-e-be-pir mujhe
kam nahin jauhar-e-faulad jawahir se 'yaqin'
hai ba-az-silk-e-gauhar ishq mein zanjir mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.