in qurbaton ke zaKHm se Dar jaana chahiye
in qurbatoñ ke zaḳhm se Dar jaanā chāhiye
is rāste se ham ko mukar jaanā chāhiye
bharte haiñ rāt-din kisī zaḳhmī badan kā peT
logoñ meñ jo ḳhalā hai vo bhar jaanā chāhiye
jitne sipurd-e-shauq haiñ āvāz de unheñ
mā'lūm kar ki ham ko kidhar jaanā chāhiye
pochh.enge aur kitnā pasīna jabīñ se ham
itnī shadīd dhuup hai mar jaanā chāhiye
kab tak kareñge tere jahāñ kā 'ilāj ham
ab tujh ko āsmāñ se utar jaanā chāhiye
ai āsmāñ maiñ chāñd sitāroñ kā kyā karūñ
mere nasīb se ye sifar jaanā chāhiye
is zindagī ke ḳhvāb ko ab alvidāa' kareñ
muddat se ye ḳhayāl thā mar jaanā chāhiye
ham se koī kahe ki jahāñ ke zurūf ko
bhar jaanā chāhiye ki bikhar jaanā chāhiye
āsā.ishoñ kī god meñ khilte nahīñ kañval
jis raah par ho ḳhaar udhar jaanā chāhiye
ġham dil ke dasht ke liye paanī se kam nahīñ
chehre ko ġham se aur nikhar jaanā chāhiye
in qurbaton ke zaKHm se Dar jaana chahiye
is raste se hum ko mukar jaana chahiye
bharte hain raat-din kisi zaKHmi badan ka peT
logon mein jo KHala hai wo bhar jaana chahiye
jitne sipurd-e-shauq hain aawaz de unhen
ma'lum kar ki hum ko kidhar jaana chahiye
pochhenge aur kitna pasina jabin se hum
itni shadid dhup hai mar jaana chahiye
kab tak karenge tere jahan ka 'ilaj hum
ab tujh ko aasman se utar jaana chahiye
ai aasman main chand sitaron ka kya karun
mere nasib se ye sifar jaana chahiye
is zindagi ke KHwab ko ab alwidaa' karen
muddat se ye KHayal tha mar jaana chahiye
hum se koi kahe ki jahan ke zuruf ko
bhar jaana chahiye ki bikhar jaana chahiye
aasaishon ki god mein khilte nahin kanwal
jis rah par ho KHar udhar jaana chahiye
gham dil ke dasht ke liye pani se kam nahin
chehre ko gham se aur nikhar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.