in sarabon se guzarne de mujhe
in sarāboñ se guzarne de mujhe
uñgliyāñ ret meñ bharne de mujhe
jis nadī paar na utrā koī
us nadī paar utarne de mujhe
koī sayyāh mujhe DhūñDhegā
ik jazīra huuñ ubharne de mujhe
yuuñ na be-zār ho itnā ḳhud se
terā chehra huuñ sañvarne de mujhe
dekh be-manzari-e-manzar ko
kam se kam rañg to bharne de mujhe
rū-ba-rū mujh ko kabhī lā mere
apne hī aap se Darne de mujhe
shukr kiije ki shikāyat kiije
vo na jiine de na marne de mujhe
raah mat rok ki mushkil hai bahut
bahtā paanī huuñ guzarne de mujhe
ek aisā bhī shajar ho jo 'amīr'
apne saa.e meñ Thaharne de mujhe
in sarabon se guzarne de mujhe
ungliyan ret mein bharne de mujhe
jis nadi par na utra koi
us nadi par utarne de mujhe
koi sayyah mujhe DhunDhega
ek jazira hun ubharne de mujhe
yun na be-zar ho itna KHud se
tera chehra hun sanwarne de mujhe
dekh be-manzari-e-manzar ko
kam se kam rang to bharne de mujhe
ru-ba-ru mujh ko kabhi la mere
apne hi aap se Darne de mujhe
shukr kije ki shikayat kije
wo na jine de na marne de mujhe
rah mat rok ki mushkil hai bahut
bahta pani hun guzarne de mujhe
ek aisa bhi shajar ho jo 'amir'
apne sae mein Thaharne de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.