in se mil kar bhi bhala kya kijiye
in se mil kar bhī bhalā kyā kījiye
paas baiThe aur shikva kījiye
jā.iye un se kahīñ duur aur phir
duur rahne kā ishāra kījiye
vo manāne gar qarīb aa jaa.e to
be-ruḳhī meñ aur izāfa kījiye
zindagī se kyā pareshāñ ho ga.e
ḳhalvatoñ meñ jā ke chīḳhā kījiye
kab talak bartāv meñ talḳhī rahe
ādatoñ kā ab mudāvā kījiye
in se mil kar bhi bhala kya kijiye
pas baiThe aur shikwa kijiye
jaiye un se kahin dur aur phir
dur rahne ka ishaara kijiye
wo manane gar qarib aa jae to
be-ruKHi mein aur izafa kijiye
zindagi se kya pareshan ho gae
KHalwaton mein ja ke chiKHa kijiye
kab talak bartaw mein talKHi rahe
aadaton ka ab mudawa kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.