inayat is qadar allahu-akbar apne bismil par
ināyat is qadar allāhu-akbar apne bismil par
kaleje par kabhī vo haath rakhte haiñ kabhī dil par
mujhe vo zab.h kar ke is liye muñh ko chhupā.e haiñ
qayāmat ho kahīñ gar chāñdnī paḌ jaa.e bismil par
dar-e-daulat pe duuñ chal kar faqīrāna sadā ik din
sunā hai dar tak aa jaate haiñ vo āvāz-e-sā.il par
tasallī aur chuTkī legī be-tābī ke pahlū meñ
kahīñ tum haath rakh denā na is Thahre hue dil par
tumhāre marne vāloñ par zamāna rashk kartā hai
maze se paañv phailā.e hue sote haiñ manzil par
kalām-e-āshiqāna sun ke har shā.ir ye kahtā hai
tumhārī nazm 'safdar' baḌh ga.ī hai nazm-e-'bedil' par
inayat is qadar allahu-akbar apne bismil par
kaleje par kabhi wo hath rakhte hain kabhi dil par
mujhe wo zabh kar ke is liye munh ko chhupae hain
qayamat ho kahin gar chandni paD jae bismil par
dar-e-daulat pe dun chal kar faqirana sada ek din
suna hai dar tak aa jate hain wo aawaz-e-sail par
tasalli aur chuTki legi be-tabi ke pahlu mein
kahin tum hath rakh dena na is Thahre hue dil par
tumhaare marne walon par zamana rashk karta hai
maze se panw phailae hue sote hain manzil par
kalam-e-ashiqana sun ke har shair ye kahta hai
tumhaari nazm 'safdar' baDh gai hai nazm-e-'bedil' par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.