inhen KHabar hai inhen mujhse kaam koi nahin
inheñ ḳhabar hai inheñ mujh se kaam koī nahīñ
so in ġhulāmoñ meñ merā ġhulām koī nahīñ
jo nang-e-she'r haiñ nang-e-adab haiñ rusvā haiñ
ḳhudā kā shukr mirā un meñ naam koī nahīñ
har ek she'r ḳhudā kī 'atā se hotā hai
ai mere dost yahāñ harf-e-ḳhām koī nahīñ
kahīñ se miltī hai ḳhairāt sab ko lafzoñ kī
yahāñ vagarna suḳhan kā imaam koī nahīñ
sabhī badan ke pujārī sabhī havas ke ġhulām
qalam-qabīle meñ siitā kā raam koī nahīñ
ye log kaun sī shohrat kī baat karte haiñ
jab is jahāñ meñ kisī ko davām koī nahīñ
vo ḳhud hī karte haiñ apnā maqām tai 'vāsif'
jo jānte haiñ ki un kā maqām koī nahīñ
inhen KHabar hai inhen mujh se kaam koi nahin
so in ghulamon mein mera ghulam koi nahin
jo nang-e-she'r hain nang-e-adab hain ruswa hain
KHuda ka shukr mera un mein nam koi nahin
har ek she'r KHuda ki 'ata se hota hai
ai mere dost yahan harf-e-KHam koi nahin
kahin se milti hai KHairaat sab ko lafzon ki
yahan wagarna suKHan ka imam koi nahin
sabhi badan ke pujari sabhi hawas ke ghulam
qalam-qabile mein sita ka ram koi nahin
ye log kaun si shohrat ki baat karte hain
jab is jahan mein kisi ko dawam koi nahin
wo KHud hi karte hain apna maqam tai 'wasif'
jo jaante hain ki un ka maqam koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.