inhen mat chheDiye inko to KHwahish hai singhasan ki
inheñ mat chheḌiye in ko to ḳhvāhish hai singhāsan kī
faqat ye jaan liije ye hai aadat mulk-dushman kī
ise tanhā.ī meñ jab yaad aa.ī apne sājan kī
ġhamoñ ke saa.e meñ guzrī thī kal kī raat birhan kī
batā.ūñ kyā tumheñ sarkash havā kī dāstāñ yāroñ
ki shāḳheñ sūkhtī hī jā rahī hai mere gulshan kī
ḳhudāyā ye hamārī qaum meñ tafrīq hai kaisī
sabhī ko ek kar de ye duā hai mere tan-man kī
ki baḌhtā jā rahā hai zāfrānī rañg har shai par
nazar aatī nahīñ hai ḳhair ab apne nasheman kī
mujhe phāñsī pe laTkā do magar sach baat bolūñgā
chitā har gaam par jaltī hai yaaro aaj dulhan kī
ye kaisā daur aayā hai ye kaise log haiñ 'sājid'
madad koī nahīñ kartā yahāñ dil se abhāgan kī
inhen mat chheDiye in ko to KHwahish hai singhasan ki
faqat ye jaan lije ye hai aadat mulk-dushman ki
ise tanhai mein jab yaad aai apne sajan ki
ghamon ke sae mein guzri thi kal ki raat birhan ki
bataun kya tumhein sarkash hawa ki dastan yaron
ki shaKHen sukhti hi ja rahi hai mere gulshan ki
KHudaya ye hamari qaum mein tafriq hai kaisi
sabhi ko ek kar de ye dua hai mere tan-man ki
ki baDhta ja raha hai zafrani rang har shai par
nazar aati nahin hai KHair ab apne nasheman ki
mujhe phansi pe laTka do magar sach baat bolunga
chita har gam par jalti hai yaro aaj dulhan ki
ye kaisa daur aaya hai ye kaise log hain 'sajid'
madad koi nahin karta yahan dil se abhagan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.