inhin fikron mein guzri umr rahat kaisi hoti hai
inhīñ fikroñ meñ guzrī umr rāhat kaisī hotī hai
yahī uljhan rahī har dam masarrat kaisī hotī hai
batā.ūñ kyā kisī ko maiñ ki hijrat kaisī hotī hai
tamanna kī harīm-e-dil se ruḳhsat kaisī hotī hai
zarā to ġhaur kar ai dil kī farhat kaisī hotī hai
nazar phūloñ pe paḌte hī masarrat kaisī hotī hai
talāsh-e-yār meñ nikle to phir taklīf kā kyā ġham
ḳhayāl-e-ishq kyā jaane musībat kaisī hotī hai
mohabbat kī nazar se dekh le koī zarā aakar
ye hasrat hai ki āñkhoñ kī ziyārat kaisī hotī hai
jahāñ majbūriyāñ hoñ sair kar us baaġh kī jā kar
tujhe ma.alūm ho jā.egā hasrat kaisī hotī hai
ġhalat hai zāhidoñ ko naaz apnī ḳhushk taa.at par
ye pūchh un ke gunahgāroñ se rahmat kaisī hotī hai
hue lākhoñ bapā mahshar azal se aaj tak dil meñ
are vaa.iz tū kyā jaane qayāmat kaisī hotī hai
unheñ ham jān-o-dil de kar rahe taklīf meñ daa.im
na jaane aish kyā hai aur rāhat kaisī hotī hai
shikāyat hijr kī karne hī ko the josh-e-ulfat meñ
dil-e-betāb chillāyā ki furqat kaisī hotī hai
koī hai mubtalā-e-ġham koī masrūf-e-ishrat hai
magar ye koī kyā samjhe mashiyyat kaisī hotī hai
tirī manshā se haiñ bīmār darmān-o-davā se kyā
hameñ ab tak nahīñ ma.alūm sehat kaisī hotī hai
chaman meñ gul hazāroñ haiñ magar jaane se huuñ qāsir
are tauba ye kyoñ kah duuñ ki hasrat kaisī hotī hai
'umar' jo diid ke tālib haiñ vo aa.eñ to mahshar meñ
sar-e-mahfil ye dekheñge ki azmat kaisī hotī hai
inhin fikron mein guzri umr rahat kaisi hoti hai
yahi uljhan rahi har dam masarrat kaisi hoti hai
bataun kya kisi ko main ki hijrat kaisi hoti hai
tamanna ki harim-e-dil se ruKHsat kaisi hoti hai
zara to ghaur kar ai dil ki farhat kaisi hoti hai
nazar phulon pe paDte hi masarrat kaisi hoti hai
talash-e-yar mein nikle to phir taklif ka kya gham
KHayal-e-ishq kya jaane musibat kaisi hoti hai
mohabbat ki nazar se dekh le koi zara aakar
ye hasrat hai ki aankhon ki ziyarat kaisi hoti hai
jahan majburiyan hon sair kar us bagh ki ja kar
tujhe malum ho jaega hasrat kaisi hoti hai
ghalat hai zahidon ko naz apni KHushk taat par
ye puchh un ke gunahgaron se rahmat kaisi hoti hai
hue lakhon bapa mahshar azal se aaj tak dil mein
are waiz tu kya jaane qayamat kaisi hoti hai
unhen hum jaan-o-dil de kar rahe taklif mein daim
na jaane aish kya hai aur rahat kaisi hoti hai
shikayat hijr ki karne hi ko the josh-e-ulfat mein
dil-e-betab chillaya ki furqat kaisi hoti hai
koi hai mubtala-e-gham koi masruf-e-ishrat hai
magar ye koi kya samjhe mashiyyat kaisi hoti hai
teri mansha se hain bimar darman-o-dawa se kya
hamein ab tak nahin malum sehat kaisi hoti hai
chaman mein gul hazaron hain magar jaane se hun qasir
are tauba ye kyon kah dun ki hasrat kaisi hoti hai
'umar' jo did ke talib hain wo aaen to mahshar mein
sar-e-mahfil ye dekhenge ki azmat kaisi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.