Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inhin ulma ke hathon din ko dinar hona hai

Rizwan Haider

inhin ulma ke hathon din ko dinar hona hai

Rizwan Haider

MORE BYRizwan Haider

    inhīñ ulmā ke hāthoñ diin ko dīnār honā hai

    vo din nazdīk hai jis din inheñ finnār honā hai

    bahut ḳhush ho rahe ho kar ke bai'at taqāzā tum

    abhī tum jānte kyā ho abhī inkār honā hai

    ye kis ġhaflat meñ ho ai dosto bedār ho jaao

    kisī mard-e-mujāhid ke liye tayyār honā hai

    abhī se tum pareshāñ ho abhī dekhā kyā tum ne

    kisī din to tumhī ko qāfila-sālār honā hai

    safar mushkil hai har ik faisle par ġhaur karnā tum

    kahāñ par mom honā hai kahāñ talvār honā hai

    tumhārī mushkileñ āsān hoñgī jab vo ā.eñge

    abhī majbūr ho lekin tumheñ muḳhtār honā hai

    naqāb-e-ruḳh abhī ik shaḳhs uThne ko baaqī hai

    vo jab parda haTā.eñge tumheñ dīdār honā hai

    bahut jaldī uḌā deñge yazīd-e-vaqt nīñdeñ

    abhī zanjīr pahnī hai abhī jhankār honā hai

    hamārī raah meñ bikhre haiñ jo har samt angāre

    are 'rizvān' isī ātish ko to gulzār honā hai

    inhin ulma ke hathon din ko dinar hona hai

    wo din nazdik hai jis din inhen finnar hona hai

    bahut KHush ho rahe ho kar ke bai'at ka taqaza tum

    abhi tum jaante kya ho abhi inkar hona hai

    ye kis ghaflat mein ho ai dosto bedar ho jao

    kisi mard-e-mujahid ke liye tayyar hona hai

    abhi se tum pareshan ho abhi dekha hi kya tum ne

    kisi din to tumhi ko qafila-salar hona hai

    safar mushkil hai har ek faisle par ghaur karna tum

    kahan par mom hona hai kahan talwar hona hai

    tumhaari mushkilen aasan hongi jab wo aaenge

    abhi majbur ho lekin tumhein muKHtar hona hai

    naqab-e-ruKH abhi ek shaKHs ka uThne ko baqi hai

    wo jab parda haTaenge tumhein didar hona hai

    bahut jaldi uDa denge yazid-e-waqt ki ninden

    abhi zanjir pahni hai abhi jhankar hona hai

    hamari rah mein bikhre hain jo har samt angare

    are 'rizwan' isi aatish ko to gulzar hona hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now