inhin zamini KHudaon ke zer-e-dast hun main
inhīñ zamīnī ḳhudāoñ ke zer-e-dast huuñ maiñ
maiñ jāntā hī nahīñ thā ki kitnā past huuñ maiñ
pa-e-sharāb bhalā shaiḳh se ulajhnā kyā
ḳhudā-parast hai vo aur butāñ-parast huuñ maiñ
kisī kī mast-nigāhoñ se mast rahtā huuñ
zamāna mujh ko samajhtā hai bāda-mast huuñ maiñ
jahān bhar ke ġhamoñ kā Thikāna rakhtā huuñ
kushāda dil hai mirā garche tang-dast huuñ maiñ
maiñ apne hāthoñ meñ sar apnā le ke phirtā huuñ
ki sarkashoñ ke qabīle kā sar-parast huuñ maiñ
ki mujh ko yuuñ to koī bhī harā nahīñ saktā
par ahl-e-dil ke liye qābil-e-shikast huuñ maiñ
inhin zamini KHudaon ke zer-e-dast hun main
main jaanta hi nahin tha ki kitna past hun main
pa-e-sharab bhala shaiKH se ulajhna kya
KHuda-parast hai wo aur butan-parast hun main
kisi ki mast-nigahon se mast rahta hun
zamana mujh ko samajhta hai baada-mast hun main
jahan bhar ke ghamon ka Thikana rakhta hun
kushada dil hai mera garche tang-dast hun main
main apne hathon mein sar apna le ke phirta hun
ki sarkashon ke qabile ka sar-parast hun main
ki mujh ko yun to koi bhi hara nahin sakta
par ahl-e-dil ke liye qabil-e-shikast hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.