inkar ki talab hai na iqrar ki talab
inkār kī talab hai na iqrār kī talab
dil meñ hai mere bas tire dīdār kī talab
hotī hai jaise sub.h ko aḳhbār kī talab
hone lagī hai phir kisī dildār kī talab
ḳhvāhish ki ho sukūn mirī zindagī ke saath
sahrā meñ jaise sāya-e-dīvār kī talab
parchhā.iyoñ ne saath na chhoḌā tamām umr
shāyad isī ko kahte haiñ sansār kī talab
duzdīda-nigāhī se tirī jaag uThī hai
muddat pe kisī nargis-e-bīmār kī talab
jab māñgne pe aao to kyā kyā na maañg lo
'jāved' aap kījiye kirdār kī talab
inkar ki talab hai na iqrar ki talab
dil mein hai mere bas tere didar ki talab
hoti hai jaise subh ko aKHbar ki talab
hone lagi hai phir kisi dildar ki talab
KHwahish ki ho sukun meri zindagi ke sath
sahra mein jaise saya-e-diwar ki talab
parchhaiyon ne sath na chhoDa tamam umr
shayad isi ko kahte hain sansar ki talab
duzdida-nigahi se teri jag uThi hai
muddat pe kisi nargis-e-bimar ki talab
jab mangne pe aao to kya kya na mang lo
'jawed' aap kijiye kirdar ki talab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.