inqalab aa gaya dekhiye
inqalāb aa gayā dekhiye
ban ga.e but ḳhudā dekhiye
ġham ke māroñ se kyā vāsta
aap bas aa.ina dekhiye
maiñ ne khaa.e hamesha fareb
merā zauq-e-vafā dekhiye
aap kī laaj rakkhe ḳhudā
aap haiñ nāḳhudā dekhiye
ham se sab bad-zan-o-bad-gumāñ
un ke sab ham-navā dekhiye
dil to hāzir hai lekin huzūr
aap haiñ ḳhud-numā dekhiye
shaiḳh jī hai ye shahr-e-butāñ
pahle āb-o-havā dekhiye
un kī nazreñ haiñ badlī huiiñ
kyā dikhā.e ḳhudā dekhiye
zulm 'anjum' vo karte rahe
maiñ bhī hañstā rahā dekhiye
inqalab aa gaya dekhiye
ban gae but KHuda dekhiye
gham ke maron se kya wasta
aap bas aaina dekhiye
main ne khae hamesha fareb
mera zauq-e-wafa dekhiye
aap ki laj rakkhe KHuda
aap hain naKHuda dekhiye
hum se sab bad-zan-o-bad-guman
un ke sab ham-nawa dekhiye
dil to hazir hai lekin huzur
aap hain KHud-numa dekhiye
shaiKH ji hai ye shahr-e-butan
pahle aab-o-hawa dekhiye
un ki nazren hain badli huin
kya dikhae KHuda dekhiye
zulm 'anjum' wo karte rahe
main bhi hansta raha dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.