insaf ki taraazu mein taula ayan hua
insāf kī tarāzū meñ taulā ayaañ huā
yūsuf se tere husn kā palla girāñ huā
rū-e-zamīñ pe aisā maiñ bismil tapāñ huā
uḌ kar mirā lahū shafaq-e-āsmāñ huā
us barq-vash kā ishq-e-nihānī ayaañ huā
abr-e-siyāh aahoñ kā mere dhuāñ huā
piirī meñ mujh ko ishq-e-hasīn-e-javāñ huā
bār-e-digar kabāde meñ zor-e-kamāñ huā
ahl-e-zamīñ se saaf kahāñ āsmāñ huā
kis roz burj-e-māh meñ farsh-e-katāñ huā
ma.adūm dāġh-e-ishq kā dil se nishāñ huā
afsos be-charāġh hamārā makāñ huā
do TukḌe ek vaar meñ ḳhūd-e-hubāb hai
girdāb-e-mauj teġh ko sañg-e-fasāñ huā
dekhā jo maiñ ne us ko samundar kī aañkh se
gulzār aag ho ga.ī sumbul dhuāñ huā
miltā nahīñ dimāġh hī gesū-e-yār kā
kuchh in dinoñ meñ mushk kā saudāgarāñ huā
ḳhush-chashmoñ ke firāq meñ khaa.e ye pech-o-tāb
shāḳh-e-ġhazāl apnā har ik ustuḳhāñ huā
saḳhtī-e-rāh-e-ishq se vāqif hue na paañv
josh-e-junūñ mire liye taḳht-e-ravāñ huā
amboh-e-āshiqāñ se huā husn ko ġhurūr
kasrat se mushtarī kī ye saudāgrāñ huā
paivand-e-ḳhāk ho ga.e ik but kī raah meñ
patthar hamārī qabr kā sañg-e-nishāñ huā
pheñkā gayā na pīr-e-falak na.al kī tarah
koī na tifl-e-ashk hamārā javāñ huā
tū dekhne gayā lab-e-dariyā jo chāñdnī
istāda tujh ko dekh ke āb-e-ravāñ huā
insāñ ko chāhiye ki na ho nāgavār-tab.a
samjhe subuk use jo kisī par girāñ huā
us gul se arz-e-hāl kī hasrat hī rah ga.ī
kāñTe paḌe zabāñ meñ jo mail-e-bayāñ huā
allāh ke karam se butoñ ko kiyā mutī.a
zer-e-nagīñ qalam-rav-e-hindostāñ huā
insāf maiñ ne ālam-e-asbāb meñ kiyā
banvā.ī chāñdnī jo mayassar katāñ huā
gardish ne us kī surma kiye apne ustuḳhāñ
chakkī hamāre pīsne ko āsmāñ huā
qātil kī teġh se rah-e-mulk-e-adam milī
aahan hamāre vāste sañg-e-nishāñ huā
fikr-e-buland ne mirī aisā kiyā buland
'ātish' zamīn-e-sher se past āsmāñ huā
insaf ki taraazu mein taula ayan hua
yusuf se tere husn ka palla giran hua
ru-e-zamin pe aisa main bismil tapan hua
uD kar mera lahu shafaq-e-asman hua
us barq-wash ka ishq-e-nihani ayan hua
abr-e-siyah aahon ka mere dhuan hua
piri mein mujh ko ishq-e-hasin-e-jawan hua
bar-e-digar kabaade mein zor-e-kaman hua
ahl-e-zamin se saf kahan aasman hua
kis roz burj-e-mah mein farsh-e-katan hua
madum dagh-e-ishq ka dil se nishan hua
afsos be-charagh hamara makan hua
do TukDe ek war mein KHud-e-hubab hai
girdab-e-mauj tegh ko sang-e-fasan hua
dekha jo main ne us ko samundar ki aankh se
gulzar aag ho gai sumbul dhuan hua
milta nahin dimagh hi gesu-e-yar ka
kuchh in dinon mein mushk ka saudagaran hua
KHush-chashmon ke firaq mein khae ye pech-o-tab
shaKH-e-ghazal apna har ek ustuKHan hua
saKHti-e-rah-e-ishq se waqif hue na panw
josh-e-junun mere liye taKHt-e-rawan hua
amboh-e-ashiqan se hua husn ko ghurur
kasrat se mushtari ki ye saudagran hua
paiwand-e-KHak ho gae ek but ki rah mein
patthar hamari qabr ka sang-e-nishan hua
phenka gaya na pir-e-falak nal ki tarah
koi na tifl-e-ashk hamara jawan hua
tu dekhne gaya lab-e-dariya jo chandni
istada tujh ko dekh ke aab-e-rawan hua
insan ko chahiye ki na ho nagawar-taba
samjhe subuk use jo kisi par giran hua
us gul se arz-e-haal ki hasrat hi rah gai
kanTe paDe zaban mein jo mail-e-bayan hua
allah ke karam se buton ko kiya mutia
zer-e-nagin qalam-raw-e-hindostan hua
insaf main ne aalam-e-asbab mein kiya
banwai chandni jo mayassar katan hua
gardish ne us ki surma kiye apne ustuKHan
chakki hamare pisne ko aasman hua
qatil ki tegh se rah-e-mulk-e-adam mili
aahan hamare waste sang-e-nishan hua
fikr-e-buland ne meri aisa kiya buland
'atish' zamin-e-sher se past aasman hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.