insan banta jata hai haiwan aaj-kal
insān bantā jaatā hai haivān āj-kal
poshīda jis ke dil meñ hai shaitān āj-kal
laatā hai shauq se vo musībat ḳharīd ke
kartā hai apnī maut kā sāmān āj-kal
dahshat ke saa.e meñ vo bujhātā hai apnī pyaas
kar kar ke qatl letā hai vo jaan āj-kal
uThtī hai ab samāj se tafrīq-e-rang-o-bū
uḌte haiñ āsmān pe dahqān āj-kal
ye daur chal rahā hai mobile kā is tarah
mardoñ se baat ho ga.ī āsān āj-kal
insan banta jata hai haiwan aaj-kal
poshida jis ke dil mein hai shaitan aaj-kal
lata hai shauq se wo musibat KHarid ke
karta hai apni maut ka saman aaj-kal
dahshat ke sae mein wo bujhata hai apni pyas
kar kar ke qatl leta hai wo jaan aaj-kal
uThti hai ab samaj se tafriq-e-rang-o-bu
uDte hain aasman pe dahqan aaj-kal
ye daur chal raha hai mobile ka is tarah
mardon se baat ho gai aasan aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.