insan hawas ke rog ka mara hai in dinon
insāñ havas ke rog kā maarā hai in dinoñ
be-laus rabt kis ko gavārā hai in dinoñ
dil ab mirā dimāġh ke taabe hai is liye
jiinā tire baġhair gavārā hai in dinoñ
mahrūmiyoñ ko maan ke taqdīr kā likhā
dil se ġhamoñ kā bojh utārā hai in dinoñ
mauzūñ hai vaqt āmad-e-tūfān ke liye
kashtī se merī duur kinārā hai in dinoñ
kūche meñ zindagī ke talāsh-e-sukūn meñ
ik yug bhaTak ke maiñ ne guzārā hai in dinoñ
insan hawas ke rog ka mara hai in dinon
be-laus rabt kis ko gawara hai in dinon
dil ab mera dimagh ke tabe hai is liye
jina tere baghair gawara hai in dinon
mahrumiyon ko man ke taqdir ka likha
dil se ghamon ka bojh utara hai in dinon
mauzun hai waqt aamad-e-tufan ke liye
kashti se meri dur kinara hai in dinon
kuche mein zindagi ke talash-e-sukun mein
ek yug bhaTak ke main ne guzara hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.