insan ke dilon mein jab aaen mohabbaten
insān ke diloñ meñ jab aa.eñ mohabbateñ
phir duur nafratoñ ko bhagā.eñ mohabbateñ
nafrat ke peḌ deñge hameñ nafratoñ ke phal
chāhat ke biij bo.eñ ugā.eñ mohabbateñ
kartī nahīñ haiñ farq vo aulād meñ kabhī
detī haiñ sab ko ek sī maa.eñ mohabbateñ
detā hai us ko naam havas kā sadā jahāñ
oḌheñ na sharm kī jo qabā.eñ mohabbateñ
shāyad ye saare dūsrī duniyā ke lafz haiñ
tāzīm ehtirām vafā.eñ mohabbateñ
nīñdoñ ke saath saath hasīñ ḳhvāb chhīn leñ
detī haiñ āshiqoñ ko sazā.eñ mohabbateñ
'anjum' jo nā-balad haiñ ḳhulūs aur vafāoñ se
aao ki un ko chal ke sikhā.eñ mohabbateñ
insan ke dilon mein jab aaen mohabbaten
phir dur nafraton ko bhagaen mohabbaten
nafrat ke peD denge hamein nafraton ke phal
chahat ke bij boen ugaen mohabbaten
karti nahin hain farq wo aulad mein kabhi
deti hain sab ko ek si maen mohabbaten
deta hai us ko nam hawas ka sada jahan
oDhen na sharm ki jo qabaen mohabbaten
shayad ye sare dusri duniya ke lafz hain
tazim ehtiram wafaen mohabbaten
nindon ke sath sath hasin KHwab chhin len
deti hain aashiqon ko sazaen mohabbaten
'anjum' jo na-balad hain KHulus aur wafaon se
aao ki un ko chal ke sikhaen mohabbaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.