insan ko milte hain nai baat ke patthar
insān ko milte haiñ na.ī baat ke patthar
Takrāte haiñ jis vaqt ḳhayālāt ke patthar
ehsās pe girte haiñ jo auqāt ke patthar
jazboñ ko kuchal dete haiñ hālāt ke patthar
jab pyaar kī rāhoñ meñ qadam us ne baḌhāyā
majnūñ ko bhī maare ga.e din raat ke patthar
ka.aba ho yā kāshī ho zarā ġhaur se dekho
azmat kī nishānī haiñ maqāmāt ke patthar
kyā ho gayā is daur ko arbāb-e-ḳhirad ko
paḌne lage aqloñ pe rivāyāt ke patthar
dīvāna jo guzrā hai kabhī terī galī se
maare use logoñ ne savālāt ke patthar
kyoñ kar na ho ā.īna-e-jazbāt shikasta
aa.e haiñ mire naam javābāt ke patthar
dil par mire us jān-e-vafā ne sar-e-mahfil
pheñke haiñ nigāhoñ se ishārāt ke patthar
mahfil meñ 'nigār' un ke liye maiñ ne tarāshe
alfāz kī shakloñ meñ ḳhayālāt ke patthar
insan ko milte hain nai baat ke patthar
Takraate hain jis waqt KHayalat ke patthar
ehsas pe girte hain jo auqat ke patthar
jazbon ko kuchal dete hain haalat ke patthar
jab pyar ki rahon mein qadam us ne baDhaya
majnun ko bhi mare gae din raat ke patthar
kaba ho ya kashi ho zara ghaur se dekho
azmat ki nishani hain maqamat ke patthar
kya ho gaya is daur ko arbab-e-KHirad ko
paDne lage aqlon pe riwayat ke patthar
diwana jo guzra hai kabhi teri gali se
mare use logon ne sawalat ke patthar
kyon kar na ho aaina-e-jazbaat shikasta
aae hain mere nam jawabaat ke patthar
dil par mere us jaan-e-wafa ne sar-e-mahfil
phenke hain nigahon se ishaaraat ke patthar
mahfil mein 'nigar' un ke liye main ne tarashe
alfaz ki shaklon mein KHayalat ke patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.