insan mal-o-zar ka parastar ho gaya
insan mal-o-zar ka parastar ho gaya
Mohamamd Rafiq Nadvi Shad
MORE BYMohamamd Rafiq Nadvi Shad
insān māl-o-zar kā parastār ho gayā
āsān ab zamīr kā byopār ho gayā
mujrim-dimāġh jurm kā bīmār ho gayā
duniyā samajh rahī hai ki fankār ho gayā
jis ne chalā.ī zulm-o-ta.assub kī āñdhiyāñ
qānūn kaise us kā madad-gār ho gayā
le de ke naukrī pe chaḌhe kah rahe haiñ log
bhagvān kī dayā hai chamatkār ho gayā
ahbāb mere chehre se paḌhte haiñ hādse
goyā ki hādsoñ kā maiñ aḳhbār ho gayā
rakkhī hai tū ne mere liye qabr kī zamīn
tere tufail maiñ bhī zamīñ-dār ho gayā
paḌh likh ke beTā itnā baḌā ho gayā ki aaj
māñ-bāp se hī barsar-e-paikār ho gayā
insan mal-o-zar ka parastar ho gaya
aasan ab zamir ka byopar ho gaya
mujrim-dimagh jurm ka bimar ho gaya
duniya samajh rahi hai ki fankar ho gaya
jis ne chalai zulm-o-tassub ki aandhiyan
qanun kaise us ka madad-gar ho gaya
le de ke naukri pe chaDhe kah rahe hain log
bhagwan ki daya hai chamatkar ho gaya
ahbab mere chehre se paDhte hain hadse
goya ki hadson ka main aKHbar ho gaya
rakkhi hai tu ne mere liye qabr ki zamin
tere tufail main bhi zamin-dar ho gaya
paDh likh ke beTa itna baDa ho gaya ki aaj
man-bap se hi barsar-e-paikar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.