insaniyat ke nam ko ruswa na kijiye
insāniyat ke naam ko rusvā na kījiye
mat kījiye burā bhī gar achchhā na kījiye
ye mo.ajizoñ kā daur nahīñ hai mire huzūr
qātil se zindagī kī tamanna na kījiye
parde se ḳhūbiyoñ ke dikheñgī burā.iyāñ
insān ko qarīb se dekhā na kījiye
mat Dhāliye usūloñ ko sāñche meñ vaqt ke
yuuñ maslahat kī aañch pe pighlā na kījiye
ḳhuddāriyoñ kī maut hai ḳhud aadmī kī maut
dast-e-talab ko sūrat-e-kāsa na kījiye
duniyā na bhuul jaa.e mohabbat kī dāstāñ
'ārif' ḳhudā ke vāste aisā na kījiye
insaniyat ke nam ko ruswa na kijiye
mat kijiye bura bhi gar achchha na kijiye
ye moajizon ka daur nahin hai mere huzur
qatil se zindagi ki tamanna na kijiye
parde se KHubiyon ke dikhengi buraiyan
insan ko qarib se dekha na kijiye
mat Dhaaliye usulon ko sanche mein waqt ke
yun maslahat ki aanch pe pighla na kijiye
KHuddariyon ki maut hai KHud aadmi ki maut
dast-e-talab ko surat-e-kasa na kijiye
duniya na bhul jae mohabbat ki dastan
'arif' KHuda ke waste aisa na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.