insaniyat ko dard ka darman kahega kaun
insāniyat ko dard kā darmāñ kahegā kaun
ab aadmī ko hazrat-e-insāñ kahegā kaun
sab kuchh vahī hai aaj bhī chehre badal ga.e
shām-e-ḳhizāñ ko sub.h-e-bahārāñ kahegā kaun
ab zindagī ke ma.anī-o-matlab badal ga.e
ab zindagī ko ḳhvāb-e-pareshāñ kahegā kaun
yuuñ hai kamāl-e-azmat-e-ādam lahū lahū
ab dāstān-e-azmat-e-insāñ kahegā kaun
haiñ har qadam pe rāhzan-e-rāhbar-numā
ab manzil-e-hayāt ko āsāñ kahegā kaun
sāhil meñ pal rahe haiñ jo un par nazar rahe
har mauj-e-be-qarār ko tūfāñ kahegā kaun
kuchh mas.ale haiñ aur bhī ab zindagī ke saath
ik tere ġham ko hāsil-e-armāñ kahegā kaun
ai kū-e-yār vo tire dīvāne kyā hue
terī galī ko kūcha-e-jānāñ kahegā kaun
insaniyat ko dard ka darman kahega kaun
ab aadmi ko hazrat-e-insan kahega kaun
sab kuchh wahi hai aaj bhi chehre badal gae
sham-e-KHizan ko subh-e-bahaaran kahega kaun
ab zindagi ke mani-o-matlab badal gae
ab zindagi ko KHwab-e-pareshan kahega kaun
yun hai kamal-e-azmat-e-adam lahu lahu
ab dastan-e-azmat-e-insan kahega kaun
hain har qadam pe rahzan-e-rahbar-numa
ab manzil-e-hayat ko aasan kahega kaun
sahil mein pal rahe hain jo un par nazar rahe
har mauj-e-be-qarar ko tufan kahega kaun
kuchh masale hain aur bhi ab zindagi ke sath
ek tere gham ko hasil-e-arman kahega kaun
ai ku-e-yar wo tere diwane kya hue
teri gali ko kucha-e-jaanan kahega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.