insha-ji hai nam unhi ka chaho to tum se milwaen
'inshā'-jī hai naam unhī kā chāho to tum se milvā.eñ
un kī ruuh dahaktā laavā ham to un ke paas na jaa.eñ
ye jo log banoñ meñ phirte jogī bai-rāgī kahlā.eñ
un ke haath adab se chūmeñ un ke aage siis navā.eñ
nā ye laal jaTā.eñ rākheñ nā ye añg bhabūt ramā.eñ
nā ye gerū-rañg faqīrī-cholā pahan pahan itrā.eñ
bastī se guzreñ to saare panghaT kī alhaḌ ablā.eñ
in kī pyaas bujhāne ko ḳhud umaD-ġhhumaD bādal ban jaa.eñ
nagrī nagrī ghūmne vāloñ meñ un kī mash.hūr kathā.eñ
vaise baat karo to laaj se un kī āñkheñ jhuk jhuk jaa.eñ
nā un kī gudḌī meñ tāñbā paisa nā manke mālā.eñ
prem kā kaasa dard kī bhikshā giit ġhazal do hai kavitā.eñ
'insha'-ji hai nam unhi ka chaho to tum se milwaen
un ki ruh dahakta lawa hum to un ke pas na jaen
ye jo log banon mein phirte jogi bai-ragi kahlaen
un ke hath adab se chumen un ke aage sis nawaen
na ye lal jaTaen rakhen na ye ang bhabut ramaen
na ye geru-rang faqiri-chola pahan pahan itraen
basti se guzren to sare panghaT ki alhaD ablaen
in ki pyas bujhane ko KHud umaD-ghumaD baadal ban jaen
nagri nagri ghumne walon mein un ki mashhur kathaen
waise baat karo to laj se un ki aankhen jhuk jhuk jaen
na un ki gudDi mein tanba paisa na manke malaen
prem ka kasa dard ki bhiksha git ghazal do hai kawitaen
- Book : Naya daur (Pg. 244)
- Author : Qamar Sultana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.