intiha-e-gham mein mujhko muskurana aa gaya
intihā-e-ġham meñ mujh ko muskurānā aa gayā
haa.e ifāqā-e-mohabbat kā bahānā aa gayā
is taraf ik āshiyāne kī haqīqat khul ga.ī
us taraf ik shoḳh ko bijlī girānā aa gayā
ro diye vo ḳhud bhī mere girya-e-paiham pe aaj
ab haqīqat meñ mujhe aañsū bahānā aa gayā
merī ḳhāk-e-dil bhī āḳhir un ke kaam aa hī ga.ī
kuchh nahīñ to un ko dāman hī bachānā aa gayā
vo ḳharāsh-e-dil jo ai jazba-e-jazbī merī hamrāz thī
aaj use bhī zaḳhm ban kar muskurānā aa gayā
intiha-e-gham mein mujh ko muskurana aa gaya
hae ifaqa-e-mohabbat ka bahana aa gaya
is taraf ek aashiyane ki haqiqat khul gai
us taraf ek shoKH ko bijli girana aa gaya
ro diye wo KHud bhi mere girya-e-paiham pe aaj
ab haqiqat mein mujhe aansu bahana aa gaya
meri KHak-e-dil bhi aaKHir un ke kaam aa hi gai
kuchh nahin to un ko daman hi bachana aa gaya
wo KHarash-e-dil jo ai jazba-e-jazbi meri hamraaz thi
aaj use bhi zaKHm ban kar muskurana aa gaya
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 66)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.