intiha-e-ishq ka is din tamasha dekhna
intihā-e-ishq kā is din tamāshā dekhnā
tum mire ġharqāb hone kā nazārā dekhnā
sāmne tūfān hai aur dil meñ hai azm-e-safar
maiñ samundar dekhtā huuñ tum kinārā dekhnā
chhīn lī ḳhush-fahmiyoñ ne ham se jab bīnā.ī bhī
be-hisī is darja ho to aa.ina kyā dekhnā
dastakoñ par dastakeñ haiñ har dar-e-ehsās par
apnī barbādī kā nā ho kuchh ishāra dekhnā
us ke kūche se nikal kar aa ga.e to phir 'nafīs'
har dayār-e-nāz meñ ḳhūn-e-tamannā dekhnā
intiha-e-ishq ka is din tamasha dekhna
tum mere gharqab hone ka nazara dekhna
samne tufan hai aur dil mein hai azm-e-safar
main samundar dekhta hun tum kinara dekhna
chhin li KHush-fahmiyon ne hum se jab binai bhi
be-hisi is darja ho to aaina kya dekhna
dastakon par dastaken hain har dar-e-ehsas par
apni barbaadi ka na ho kuchh ishaara dekhna
us ke kuche se nikal kar aa gae to phir 'nafis'
har dayar-e-naz mein KHun-e-tamanna dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.