intiha-e-yas-o-gham se jab guzar jata hun main
intihā-e-yās-o-ġham se jab guzar jaatā huuñ maiñ
har qadam par ik sukūn-e-qalb sā paatā huuñ maiñ
sāz-e-ġham par jab kabhī koī ġhazal gaatā huuñ maiñ
ik sarāpā soz kī tasvīr ban jaatā huuñ maiñ
har qadam par ek aafat har qadam par ik balā
phir bhī manzil kī taraf baḌhtā chalā jaatā huuñ maiñ
phir kisī taaza pareshānī ko hai merī talāsh
phir kisī ko multafit apnī taraf paatā huuñ maiñ
allah allah maslak-e-mehr-o-mohabbat ai 'atīq'
aah koī bhī kare lekin taḌap jaatā huuñ maiñ
intiha-e-yas-o-gham se jab guzar jata hun main
har qadam par ek sukun-e-qalb sa pata hun main
saz-e-gham par jab kabhi koi ghazal gata hun main
ek sarapa soz ki taswir ban jata hun main
har qadam par ek aafat har qadam par ek bala
phir bhi manzil ki taraf baDhta chala jata hun main
phir kisi taza pareshani ko hai meri talash
phir kisi ko multafit apni taraf pata hun main
allah allah maslak-e-mehr-o-mohabbat ai 'atiq'
aah koi bhi kare lekin taDap jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.