intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin
intiḳhāb-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhī nahīñ
koī ā.īna tirā aaj muqābil bhī nahīñ
kaun se gul kī ḳhabar bād-e-sahar laa.ī hai
sehn-e-gulshan meñ kahīñ shor-e-anādil bhī nahīñ
jaane ab kaun sī manzil meñ meñ arbāb-e-junūñ
duur tak dasht meñ āvāz-e-salāsil bhī nahīñ
tiir aate haiñ kamīñ-gāh se merī jānib
merī taqdīr meñ kyā jalva-e-qātil bhī nahīñ
tujh se aur chashm-e-tavajjoh kā gilā kyā ma.anī
terā fitrat tire iḳhlās ke qābil bhī nahīñ
intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin
koi aaina tera aaj muqabil bhi nahin
kaun se gul ki KHabar baad-e-sahar lai hai
sehn-e-gulshan mein kahin shor-e-anadil bhi nahin
jaane ab kaun si manzil mein mein arbab-e-junun
dur tak dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin
tir aate hain kamin-gah se meri jaanib
meri taqdir mein kya jalwa-e-qatil bhi nahin
tujh se aur chashm-e-tawajjoh ka gila kya mani
tera fitrat tere iKHlas ke qabil bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.