intiKHabi daur mein shola-bayani chhoD di
intiKHabi daur mein shola-bayani chhoD di
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
intiḳhābī daur meñ sho'la-bayānī chhoḌ dī
us ne mujh se har tarah kī bad-gumānī chhoḌ dī
us kā vā'da hai vo kar degā mujhe jannat-nashīñ
bā-ḳhushī maiñ ne agar masjid purānī chhoḌ dī
maiñ haqā.eq ke sahāre ab talak laḌtā rahā
phir achānak us ne baḌh kar ik kahānī chhoḌ dī
jo the mahrūm-e-anā jā kar samundar meñ gire
ek dariyā ne magar apnī ravānī chhoḌ dī
jab adab ke sūrmā banñe lage pashsha-sifat
ham ne bhī uktā ke āḳhir pahlvānī chhoḌ dī
mere sar par har taraf se saikḌoñ patthar lage
jab subuk-sar ho ke maiñ ne sargirānī chhoḌ dī
par-fishāñ ash'ār haiñ yā hai farishtoñ kā nuzūl
yā 'adam ne ik balā-e-nāgahānī chhoḌ dī
'ahd-e-nau meñ kuchh nahīñ miltā hai qīmat ke baġhair
ab masīhā ne ravish apnī purānī chhoḌ dī
jaane kis kā hāshiya-bardār hai merā qalam
har kas-o-nā-kas kī is ne tarjumānī chhoḌ dī
intiKHabi daur mein sho'la-bayani chhoD di
us ne mujh se har tarah ki bad-gumani chhoD di
us ka wa'da hai wo kar dega mujhe jannat-nashin
ba-KHushi main ne agar masjid purani chhoD di
main haqaeq ke sahaare ab talak laDta raha
phir achanak us ne baDh kar ek kahani chhoD di
jo the mahrum-e-ana ja kar samundar mein gire
ek dariya ne magar apni rawani chhoD di
jab adab ke surma banne lage pashsha-sifat
hum ne bhi ukta ke aaKHir pahlwani chhoD di
mere sar par har taraf se saikDon patthar lage
jab subuk-sar ho ke main ne sargirani chhoD di
par-fishan ash'ar hain ya hai farishton ka nuzul
ya 'adam ne ek bala-e-nagahani chhoD di
'ahd-e-nau mein kuchh nahin milta hai qimat ke baghair
ab masiha ne rawish apni purani chhoD di
jaane kis ka hashiya-bardar hai mera qalam
har kas-o-na-kas ki is ne tarjumani chhoD di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.