Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    intizār-e-hashr kar sakte nahīñ nākām-e-ishq

    aaj ho jaa.e honā ho jo kal anjām-e-ishq

    ibtidā meñ dard-e-furqat maut hai anjām-e-ishq

    ahl-e-dil ko nā-muvāfiq hai havā-e-bām-e-ishq

    be-ḳhudī meñ DabDabā aa.e haiñ aañsū aañkh meñ

    al-madad ai zabt chhalkā chāhtā hai jām-e-ishq

    us ulfat ne kiyā rusvā-e-ālam kis qadar

    uñgliyāñ uThtī haiñ jaate haiñ jidhar badnām-e-ishq

    kyoñ nasīhat meñ tirī nāseh haiñ ye dil-sozīyāñ

    kyā tire dil par guzarte haiñ mire ālām-e-ishq

    chashm-e-giryāñ qalb-e-nālāñ shamātat qahr hai

    donoñ mil kar ik mujhī ko dete haiñ ilzām-e-ishq

    hasrateñ bhī aaj dil ke saath dam toḌ deñ

    aage pīchhe saath vāloñ na ho anjām-e-ishq

    baam par aa kar zarā bikhrā.iye zulf-e-darāz

    phail jaa.e saare aalam meñ savād-e-shām-e-ishq

    aur kyā e.ajāz hotā husn-e-lailā ke liye

    mar gayā majnūñ magar zinda hai ab tak nām-e-ishq

    chaar din meñ 'nazar' tum is qadar ghabrā ga.e

    āsmāñ se koī pūchhe gardish-e-ayyām-e-ishq

    intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq

    aaj hi ho jae hona ho jo kal anjam-e-ishq

    ibtida mein dard-e-furqat maut hai anjam-e-ishq

    ahl-e-dil ko na-muwafiq hai hawa-e-baam-e-ishq

    be-KHudi mein DabDaba aae hain aansu aankh mein

    al-madad ai zabt chhalka chahta hai jam-e-ishq

    us ki ulfat ne kiya ruswa-e-alam kis qadar

    ungliyan uThti hain jate hain jidhar badnam-e-ishq

    kyon nasihat mein teri naseh hain ye dil-soziyan

    kya tere dil par guzarte hain mere aalam-e-ishq

    chashm-e-giryan qalb-e-nalan ki shamatat qahr hai

    donon mil kar ek mujhi ko dete hain ilzam-e-ishq

    hasraten bhi aaj dil ke sath hi dam toD den

    aage pichhe sath walon ka na ho anjam-e-ishq

    baam par aa kar zara bikhraiye zulf-e-daraaz

    phail jae sare aalam mein sawad-e-sham-e-ishq

    aur kya eajaz hota husn-e-laila ke liye

    mar gaya majnun magar zinda hai ab tak nam-e-ishq

    chaar hi din mein 'nazar' tum is qadar ghabra gae

    aasman se koi puchhe gardish-e-ayyam-e-ishq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now