iqra ki saughat ki surat aa
iqrā kī sauġhāt kī sūrat aa
hoñToñ par āyāt kī sūrat aa
suukh chale haiñ āñgan ke paude
be-mausam barsāt kī sūrat aa
shāḳh-e-yaqīñ kī be-samarī aur maiñ
bār-āvar shub.hāt kī sūrat aa
maiñ parvarda tīra-baḳhtī kā
mere ghar to raat kī sūrat aa
maiñ apnī tahdīd meñ huuñ mashġhūl
aa tausī-e-zāt kī sūrat aa
fikr ke tīra-ḳhāne raushan kar
lau dete jazbāt kī sūrat aa
raas aa.e mujh ko ujiyāle kab
mub.ham imkānāt kī sūrat aa
iqra ki saughat ki surat aa
honTon par aayat ki surat aa
sukh chale hain aangan ke paude
be-mausam barsat ki surat aa
shaKH-e-yaqin ki be-samari aur main
bar-awar shubhat ki surat aa
main parwarda tira-baKHti ka
mere ghar to raat ki surat aa
main apni tahdid mein hun mashghul
aa tausi-e-zat ki surat aa
fikr ke tira-KHane raushan kar
lau dete jazbaat ki surat aa
ras aae mujh ko ujiyale kab
mubham imkanat ki surat aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.