Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iqrar-e-wafa ummid-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

Sarwar Alam Raz

iqrar-e-wafa ummid-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

Sarwar Alam Raz

MORE BYSarwar Alam Raz

    iqrār-e-vafā ummīd-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    va.ade vo tire mub.ham mub.ham kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    sarshārī-e-ulfat aalam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    jazbāt vo dhīmī sargam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    ālām vo yūrish paiham kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    Duubī huī nabzoñ aalam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    yādoñ ḳhalish vo shām-o-sahar māyūs se vo dīvār-o-dar

    ehsās lau maddham maddham kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    kyā vahm-o-gumāñ kyā ilm-o-yaqīñ kyā fikr-o-ġham-e-duniyā-o-dīñ

    hastī ke vo saare pech-o-ḳham kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    vo sher-e-mujassam jān-e-suḳhan har saañs meñ yuuñ hai naġhma-zan

    afsāna-e-ġham rūdād-e-alam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    kab daur-e-ḳhizāñ aayā aur kab ruḳhsat vo gul-e-ra.anā.ī huā

    mahrūmi-e-jāñ majbūri-e-ġham kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    dil aise purāne paapī ko kyā kaam hai dīn-o-īmāñ se

    vo sāz-e-kalīsā soz-e-haram kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    unvān yahī Thahre 'sarvar' afsāna-e-hastī ke tere

    qalb-e-hazīñ dīda-e-nam kuchh kah na sake kuchh bhuul ga.e

    iqrar-e-wafa ummid-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    wade wo tere mubham mubham kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    sarshaari-e-ulfat ka aalam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    jazbaat ki wo dhimi sargam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    aalam ki wo yurish paiham kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    Dubi hui nabzon ka aalam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    yaadon ki KHalish wo sham-o-sahar mayus se wo diwar-o-dar

    ehsas ki lau maddham maddham kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    kya wahm-o-guman kya ilm-o-yaqin kya fikr-o-gham-e-duniya-o-din

    hasti ke wo sare pech-o-KHam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    wo sher-e-mujassam jaan-e-suKHan har sans mein yun hai naghma-zan

    afsana-e-gham rudad-e-alam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    kab daur-e-KHizan aaya aur kab ruKHsat wo gul-e-ranai hua

    mahrumi-e-jaan majburi-e-gham kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    dil aise purane papi ko kya kaam hai din-o-iman se

    wo saz-e-kalisa soz-e-haram kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    unwan yahi Thahre 'sarwar' afsana-e-hasti ke tere

    ya qalb-e-hazin ya dida-e-nam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now