iqrar hi ke sath ye inkar abhi se
iqrār hī ke saath ye inkār abhī se
dil toḌte ho kyoñ mirā paimāñ-shikanī se
har ik ko hai ab uns usī but kī galī se
vīrān huiiñ masjideñ suune haiñ kalīse
bosa hī mujhe do jo nahīñ vasl pe raazī
achchhā hai vahī kaam jo ho jaa.e ḳhushī se
vaa.iz jo patā ḳhuld kā pūchhe to batā duuñ
jannat kī taraf jaate haiñ us but kī galī se
baaz aao buto apnī jafāoñ se ḳhudā-rā
toḌo na mirā shīsha-e-dil tañg-dilī se
tum aaj zarūr aaoge lekin ye batā do
sachchā koī iqrār kiyā bhī hai kisī se
puurā kare allāh mire dil kā irāda
mar kar bhī na uTThūñ but-e-kāfir kī galī se
vaa.iz ye baraste hue bādal ye ghaTā.eñ
maiñ bach nahīñ saktā kabhī tauba-shikanī se
maiñ kis se 'fahīm' aur kahūñ hāl-e-ġham apnā
allāh hai āgāh mire dard-e-dilī se
iqrar hi ke sath ye inkar abhi se
dil toDte ho kyon mera paiman-shikani se
har ek ko hai ab uns usi but ki gali se
viran huin masjiden sune hain kalise
bosa hi mujhe do jo nahin wasl pe raazi
achchha hai wahi kaam jo ho jae KHushi se
waiz jo pata KHuld ka puchhe to bata dun
jannat ki taraf jate hain us but ki gali se
baz aao buto apni jafaon se KHuda-ra
toDo na mera shisha-e-dil tang-dili se
tum aaj zarur aaoge lekin ye bata do
sachcha koi iqrar kiya bhi hai kisi se
pura kare allah mere dil ka irada
mar kar bhi na uTThun but-e-kafir ki gali se
waiz ye baraste hue baadal ye ghaTaen
main bach nahin sakta kabhi tauba-shikani se
main kis se 'fahim' aur kahun haal-e-gham apna
allah hai aagah mere dard-e-dili se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.