iqrar ki surat thi na inkar ki surat
iqrār kī sūrat thī na inkār kī sūrat
dekhī na ga.ī mujh se mire yaar kī sūrat
sab majma.a-e-āshufta-sarāñ dekh rahe the
maiñ taktā rahā ā.ina-bardār kī sūrat
kuchh din ke liye qāfila-e-ḳhush-nazarāñ bhī
gardish meñ rahā gardish-e-parkār kī sūrat
vo shahr jo raunaq thā jahān-e-guzarāñ kī
lagtā hai mujhe vādī-e-pur-ḳhār kī sūrat
maiñ dasht-e-tamannā kā musāfir huuñ mujhe bhī
ik saaya mile sāya-e-dīvār kī sūrat
ab tak mirī āñkhoñ meñ harārat hai vafā kī
dekhī thī kabhī kūcha-e-dildār kī sūrat
'aḳhtar' ko na raas aaya kabhī mausam-e-hijrāñ
phir bhī hai ravāñ lamha-e-bedār kī sūrat
iqrar ki surat thi na inkar ki surat
dekhi na gai mujh se mere yar ki surat
sab majma-e-ashufta-saran dekh rahe the
main takta raha aaina-bardar ki surat
kuchh din ke liye qafila-e-KHush-nazaran bhi
gardish mein raha gardish-e-parkar ki surat
wo shahr jo raunaq tha jahan-e-guzaran ki
lagta hai mujhe wadi-e-pur-KHar ki surat
main dasht-e-tamanna ka musafir hun mujhe bhi
ek saya mile saya-e-diwar ki surat
ab tak meri aankhon mein hararat hai wafa ki
dekhi thi kabhi kucha-e-dildar ki surat
'aKHtar' ko na ras aaya kabhi mausam-e-hijran
phir bhi hai rawan lamha-e-bedar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.