irada hai kisi jangal mein ja rahunga main
irāda hai kisī jangal meñ jā rahūñgā maiñ
tumhārā naam har ik peḌ par likhūñgā maiñ
har ek peḌ pe chaḌh ke tumheñ pukārūñgā
har ek peḌ ke nīche tumheñ milūñgā maiñ
har ek peḌ koī dāstāñ sunā.egā
samajh na pā.ūñgā lekin sunā karūñgā maiñ
tamām raat bahāroñ ke ḳhvāb dekhūñgā
gire paḌe hue pattoñ pe so rahūñgā maiñ
añdherā hone se pahle parinde ā.eñge
ujālā hone se pahle hī jaag uThūñgā maiñ
tumheñ yaqīn na aa.e to kyā huā 'alvī'
mujhe yaqīn hai aise bhī jī sakūñgā maiñ
irada hai kisi jangal mein ja rahunga main
tumhaara nam har ek peD par likhunga main
har ek peD pe chaDh ke tumhein pukarunga
har ek peD ke niche tumhein milunga main
har ek peD koi dastan sunaega
samajh na paunga lekin suna karunga main
tamam raat bahaaron ke KHwab dekhunga
gire paDe hue patton pe so rahunga main
andhera hone se pahle parinde aaenge
ujala hone se pahle hi jag uThunga main
tumhein yaqin na aae to kya hua 'alwi'
mujhe yaqin hai aise bhi ji sakunga main
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 91)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.