irada uske safar ka palaT bhi sakta hai
irāda us ke safar kā palaT bhī saktā hai
vo apne ghar kī hadoñ meñ simaT bhī saktā hai
jo har kisī pe jamātā hai dhoñs daulat kī
vo apne ḳhuun ke rishtoñ se kaT bhī saktā hai
ġhurūr chhoḌ zamīñ zar haiñ be-sabāt yahāñ
phire nasīb to pāñsa ulaT bhī saktā hai
vo zimma-dār hai suljhā.egā masā.il ko
ye ghar kā bojh to aapas meñ baT bhī saktā hai
tirā makān kirā.e kā hai ye bhūlnā mat
kisī ghaḌī tirā bistar simaT bhī saktā hai
bahut tapāk se miltā hai TuuT kar vo rafīq
jo dekh le vo mujhe to palaT bhī saktā hai
tujhe ḳhudā ne jo tauqīr dī bachā ke rakh
ye martaba kisī laġhzish se ghaT bhī saktā hai
ḳhulūs-e-dil se koī bhī yahāñ nahīñ miltā
'azīm' shahr se ab dil uchaT bhī saktā hai
irada us ke safar ka palaT bhi sakta hai
wo apne ghar ki hadon mein simaT bhi sakta hai
jo har kisi pe jamata hai dhons daulat ki
wo apne KHun ke rishton se kaT bhi sakta hai
ghurur chhoD zamin zar hain be-sabaat yahan
phire nasib to pansa ulaT bhi sakta hai
wo zimma-dar hai suljhaega masail ko
ye ghar ka bojh to aapas mein baT bhi sakta hai
tera makan kirae ka hai ye bhulna mat
kisi ghaDi tera bistar simaT bhi sakta hai
bahut tapak se milta hai TuT kar wo rafiq
jo dekh le wo mujhe to palaT bhi sakta hai
tujhe KHuda ne jo tauqir di bacha ke rakh
ye martaba kisi laghzish se ghaT bhi sakta hai
KHulus-e-dil se koi bhi yahan nahin milta
'azim' shahr se ab dil uchaT bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.