irade hi pairon ke chhaale hue hain
irāde hī pairoñ ke chhāle hue haiñ
safar hādsoñ ke havāle hue haiñ
tamannā bahut thī ḳhushī mil na paa.ī
havan meñ jale haath kaale hue haiñ
koī ġham nahīñ apne jalne kā ham ko
tirī raah meñ to ujāle hue haiñ
na TuuTe koī ḳhvāb palkoñ se gir kar
chhalakte haiñ nain ham sambhāle hue haiñ
abhī tak hai sāñsoñ meñ ḳhushbū guloñ kī
chaman se kabhī ke nikāle hue haiñ
gire jaane kis pahlū aa kar zamīñ par
ye jīvan kā sikka uchhāle hue haiñ
irade hi pairon ke chhaale hue hain
safar hadson ke hawale hue hain
tamanna bahut thi KHushi mil na pai
hawan mein jale hath kale hue hain
koi gham nahin apne jalne ka hum ko
teri rah mein to ujale hue hain
na TuTe koi KHwab palkon se gir kar
chhalakte hain nain hum sambhaale hue hain
abhi tak hai sanson mein KHushbu gulon ki
chaman se kabhi ke nikale hue hain
gire jaane kis pahlu aa kar zamin par
ye jiwan ka sikka uchhaale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.