irade kya hue lambe hamare
irāde kyā hue lambe hamāre
qadam paḌte nahīñ chhoTe hamāre
baḌhā hai darmiyāñ ye pyaar jab jab
hue haiñ kis qadar jhagḌe hamāre
samajhtā thā baḌā ma.asūm us ko
uḌe haiñ ishq meñ tote hamāre
lagī hai shart dekhegā palaT kar
hue sab ta.aziye ThanDe hamāre
yahīñ to dekhnā hai vaqt-e-mushkil
raheñge saath meñ kitne hamāre
shajar kī chāshnī us meñ ghulī hai
samar koī nahīñ phīke hamāre
bulāte haiñ tumheñ din-rāt kitnā
qarīne se saje kamre hamāre
le aa.ī ik jagah par ham ko qudrat
hue haiñ duur sab ḳhadshe hamāre
chalī hai vaqt ne ye chaal kaisī
piTe ik baar meñ mohre hamāre
yahī sach thā safar se vāpsī kā
kabhī vāpas nahīñ lauTe hamāre
irade kya hue lambe hamare
qadam paDte nahin chhoTe hamare
baDha hai darmiyan ye pyar jab jab
hue hain kis qadar jhagDe hamare
samajhta tha baDa masum us ko
uDe hain ishq mein tote hamare
lagi hai shart dekhega palaT kar
hue sab taziye ThanDe hamare
yahin to dekhna hai waqt-e-mushkil
rahenge sath mein kitne hamare
shajar ki chashni us mein ghuli hai
samar koi nahin phike hamare
bulate hain tumhein din-raat kitna
qarine se saje kamre hamare
le aai ek jagah par hum ko qudrat
hue hain dur sab KHadshe hamare
chali hai waqt ne ye chaal kaisi
piTe ek bar mein mohre hamare
yahi sach tha safar se wapsi ka
kabhi wapas nahin lauTe hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.