irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka
Interesting Fact
March 1926
irfān hai ye ishq ke soz-o-gudāz kā
parda uThā rahā hai koī imtiyāz kā
tāroñ se pūchhiye mirī āñkhoñ ko dekhiye
duniyā ko kyā pata shab-e-hijr-e-darāz kā
jaane se qabl tuur pe muusā ye dekhte
kyā zarf hai havās tajallī-navāz kā
sab surḳhiyāñ haiñ ḳhūn-e-vafā sī likhī huī
qissa hai dil-gudāz shahīd-e-niyāz kā
sar be-ḳhudī meñ aap ke qadmoñ pe jhuk gayā
aayā thā kuchh ḳhayāl sā dil meñ namāz kā
āñkheñ jhukā nazar na milā dil pe tiir khā
pahlā sabaq hai ishq ke rāz-o-niyāz kā
mahfil meñ dekhte haiñ vo tasvīr kī tarah
markaz hai har nafas nigah-e-imtiyāz kā
dekhā phir us ne qalb kī phir harkateñ baḌhīñ
zaḳhma banī hai phir nigah-e-nāz saaz kā
zarf āzmā.e sozish-e-sad-barq-e-tūr se
liije na imtihān dil-e-be-niyāz kā
'tālib' agar nazar na ho pāmāl-e-ḳhvāhishāt
har lam.a barq-e-tūr hai husn-e-majāz kā
irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka
parda uTha raha hai koi imtiyaz ka
taron se puchhiye meri aankhon ko dekhiye
duniya ko kya pata shab-e-hijr-e-daraaz ka
jaane se qabl tur pe musa ye dekhte
kya zarf hai hawas tajalli-nawaz ka
sab surKHiyan hain KHun-e-wafa si likhi hui
qissa hai dil-gudaz shahid-e-niyaz ka
sar be-KHudi mein aap ke qadmon pe jhuk gaya
aaya tha kuchh KHayal sa dil mein namaz ka
aankhen jhuka nazar na mila dil pe tir kha
pahla sabaq hai ishq ke raaz-o-niyaz ka
mahfil mein dekhte hain wo taswir ki tarah
markaz hai har nafas nigah-e-imtiyaz ka
dekha phir us ne qalb ki phir harkaten baDhin
zaKHma bani hai phir nigah-e-naz saz ka
zarf aazmae sozish-e-sad-barq-e-tur se
lije na imtihan dil-e-be-niyaz ka
'talib' agar nazar na ho pamal-e-KHwahishat
har lama barq-e-tur hai husn-e-majaz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.