Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ahd mein suna hai majbur aadmi se

Mubarak Mungeri

is ahd mein suna hai majbur aadmi se

Mubarak Mungeri

MORE BYMubarak Mungeri

    is ahd meñ sunā hai majbūr aadmī se

    rahtā hai aadmī bhī ab duur aadmī se

    ye raaz kab rahā hai mastūr aadmī se

    zardār aadmī hai mazdūr aadmī se

    azm-e-ḳhudī salāmat mushkil bhī koī shai hai

    aksar huī mashiyyat majbūr aadmī se

    khultī ga.iiñ haiñ jab se gumrāhiyoñ rāheñ

    hotī ga.ī hai manzil ḳhud duur aadmī se

    kahtā hai aur kuchh fuqdān-e-ādamiyyat

    vaise to hai ye duniyā māmūr aadmī se

    ham-jins ke lahū se khelegā kaun holī

    hairat ki ye chalā hai dastūr aadmī se

    jab aadmī bannā mushkil hai aadmī

    kyūñkar ḳhudā banā thā mansūr aadmī se

    gumnām aadmī duniyā meñ kār-nāma

    mansūb ho rahegā mash.hūr aadmī se

    is daur-e-bebasī meñ ye haal hai 'mubārak'

    jiine chhin chukā hai maqdūr aadmī se

    is ahd mein suna hai majbur aadmi se

    rahta hai aadmi bhi ab dur aadmi se

    ye raaz kab raha hai mastur aadmi se

    zardar aadmi hai mazdur aadmi se

    azm-e-KHudi salamat mushkil bhi koi shai hai

    aksar hui mashiyyat majbur aadmi se

    khulti gain hain jab se gumrahiyon ki rahen

    hoti gai hai manzil KHud dur aadmi se

    kahta hai aur hi kuchh fuqdan-e-adamiyyat

    waise to hai ye duniya mamur aadmi se

    ham-jins ke lahu se khelega kaun holi

    hairat ki ye chala hai dastur aadmi se

    jab aadmi hi banna mushkil hai aadmi ka

    kyunkar KHuda bana tha mansur aadmi se

    gumnam aadmi ka duniya mein kar-nama

    mansub ho rahega mashhur aadmi se

    is daur-e-bebasi mein ye haal hai 'mubarak'

    jine ka chhin chuka hai maqdur aadmi se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now